Dosto mujhe umeed hai aap log achhe honge. Main bhi achha hoon aur aaj aap ke liye bahtreen photography leke aaya hoon. Ye photo mast niche se liya hai matlab niche baith ke. Kamaal ka najara tha aur aaj paani ko niche se pura lena tha isliye aisi photo li hai. Yaar english utna aati nahi warna usme achhe se explain karta lekin ab kya batau main aap sabhi logo ko english sikhne ka time hi nahi milta hai yaar.
Khair aap sabhi log dekh ke batao shaam ka ye najara kaisa lag raha hai aap ko. Paani ka bhi rang golden ho gaya hai aur dekhne me kitna pyara lag raha hai wo aap khud hi dekh sakte hai. Asman ka bhi najara achha hai pura golden bas ped paudhe hai wo kaale kiye hai.
Thoda sa photo edit kar ke isko aisa banaya hai. Aur mujhe umeed hai aap logo ko ye pasand aaya hoga. Waise bhai log ab koi comment nahi karta hai meri post par sab busy rahte hai kaha se koi comment karega khair mujhe umeed hai meri photography aap ko jarur pasand aayi hogi.
EXIF INFORMATION
Camera | Nikon D3200 |
Shutter Speed | 1/8000 sec |
Aperture | f/5.0 |
ISO | 400 |
Post Processed | Adobe Photoshop |
Location | Assam |