Dosto kaise ho aap sabhi log mujhe lagta hai mast honge aur hona bhi chahye. Khair aaj ki meri photography dekhiye aaj main aap logo ke liye sunset ki photography nahi balki fishing ki photography leke aaya hoon. Ye log apne boat me nadi me ghumte hai aur machliya pakadte hai. Inki jindagi bhi kaafi mushkil hoti hai bhai log din bhar paani me to rahte hai lekin dhoop bhi utni hi hoti hai.
Kayi log to apne boat par hi chota sa tambu laga lete hai taaki dhoop se bach sake lekin in logo ne nahi lagaya hua hai. Ek fisherman ke haath me aap log jaal dekh sakte ho wo jaal fakette hai aur machli pakadte hai.
Aap logo ne kabhi fishing ki hai ki nahi? Maine to bachpan me ki hai lekin iss tarah jaal se nahi wo ek lambe dande me kaanta laga kar ke. Jisko fishing rod bhi bolte hai usi se maine fishing ki hai bachpan me lekin ab itna time kaha hai bhai log ab to bas kaam me dhyaan do aur kuch nahi.
EXIF INFORMATION
Camera | Nikon D3200 |
Shutter Speed | 1/100 sec |
Aperture | f/5.0 |
ISO | 200 |
Post Processed | Adobe Photoshop |
Location | Assam |