Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Bachon ke achhe kamo ki tareef zrur kro.
Agr koi bacha achhe kam kre to bado ko chahiye ki uske achhe kamo ki tareef kre taki us ko shauk paida ho, or us ki himmat afzayi ho, or fir achhe kam krne ka us ke dil me josh paida hota he.
Agr us ke achhe kam ki qadr na ki gyi to past himmat ho jata he.
Shauk or umang ke jazbat srd par jate he, kitne log to apni jihalat or bad mizaji ki wajh se bacho ke achhe kamo ki tareef to kya kre, ulta daant dapat kr unki himmat khatam kr dete he.
Or samjhte he ki is trh krne se bacha ayenda achhe kam krne lge ga, lekin un ka khyal ghalt he.
Is se kam krne ka hausla khatam ho kr dil tut jata he, isi trh agr bacha koi bura kam kre to us ki burayi bhi byan kr deni chahiye.
Or uski be ja tareef na ki jaye, vrna to kam kiye bagher hi tareef sunne ka aadi bn jayega.
Or tareef sunne ka itna bhi shaukeen na bnaya jaye ki khud tareef ki qadr uske dil me beth jaye.
Balki achhe kamo pr is trh tareef ki jaye ki vo Allah taala ka shukr ada krne wala bane.
Shukriya..