Sachai shyad yahi hai ki krodh, eksahisaunta or hinsa samaj me badh rahi hai. Yahi bhaavnaye vibhhin kaarno se unke mann me ja rahi hai jo aeisi khaufnaak ghatnao ke roop me jaha taha vyakat hoti hai. Adhyan batate hai ki aaj high school se graduate hone tak ki hi avdhi me ek student maarpeet or hatya ki kai hazar ghatnaaye TV, filmo ya samachar me dekh chuka hota hai. Aaj hum ek asise samaj me reh rahe hai jaha humare manoranjan k saadhno kr liye hinsa ek haanikarak tatav hai. Hinsa ko lagatar lagatar glamorize kiya jaa raha hai. Yahi hinsa dheere dheere sadak sadak se lekar humare gharo me utar chuki hai. Maa baap or bade bhai behno ko aapas me jhagadte dekh bache ise apni aesehmati jatane ka tarika samjhne lagte hai.
Source-http://www.bharatsamachartv.in/up-news-stories/student-of-class-4-without-evidence-782-782.html